Thursday, September 23, 2010

Papa


Main ro rha tha bilakh rha tha

Kisi labon ne tab pyar se chuma

Unke aankhon me aanshu the thode

Fir bhi main khusiyon me jhooma

Ladkhada ke girta tha jab bhi

Kisi haathon ne mujhe samhala

Jab bhi kuch pane ki jid ki

Kisi soch ne use apna khwab bana dala

Khel me jab bhi haar jata

Kisi hoshle ne us khel ko badla

Ruth ke jab bhookha so jata

Kisi aawaz ne jaga ke khilaya hai niwala

Aaj jab bhi duniya ki duad me duadta hoon

Wo lab aawaz lagake hoshla dete hai

Mano un aankhon me soch hai haathon se peeth taphtaphane ka

3 comments: