Monday, April 25, 2011

Bhav


Bachpan jahan bitaya wo apna gaun hi acha tha
shararat se na jane aamon ke sath kitne dil churaye the

Jawan umeedon ke sath seher na aana tha hume

yahan toh dil ka sauda hota hai aamon ke bhav me

Jindagi


Ruth kar jab bhi jaoge tum tumhe manane aayega Nilabh
Tune hi kaha tha "Jindagi" kitne bhi dard de muat se behtar hai wo

Mohtaaz


Aasmaan ke baadal bhi tere aankhon jaise hai Nilabh
Koi muasam ka mohtaaz hai koi yaadon ka mohtaaz

Khilona


Dil se acha toh bachpan ke khilone the Nilabh
Tute hue ko kabadiwala tabdeel toh karta tha

Jung-e-Ishq


Jo chaha toh jeet leta teri mohhabat Nilabh
Jung-e-ishq me khuda ne jo muat ki chaal na chali hoti

Sadak


Teri haalat bhi sadak si ho gayi Nilabh
Log kuchal jate hai apni manzil pane ke liye

Bewafa


Teri bewafai dekhi toh hum bhi bewafa ban baithe
Tune idhar hath jo choda hum muat ko dil de baithe

Sharab aur Shabab


Tere shabab ke aage aaj fiki par gayi meri sharab
Honton se lagaya bhi nhi aur beshudh ho gaye

Saath


Saath ki jarurat toh muat ke baad hoti hai Nilabh
Tadfeen ki mitti me har haath ki iyaanat hoti hai

Dualat


Ab teri dualat ke lutne ka waqt aa gya hai Nilabh
Suna hai unke jikr pe jurmane ka naya kaanoon aaya hai

Namaaz


Koi hal toh bata do namaaz ki waqt badalne ka
ek hi toh muaka milta hai unhe us waqt chhat pe dekhne ka

Fariyaad


Yun tanha kab tak teri yaad hogi
aa jane tujhse kab baat hogi
yun jab tak tu ruthegi mujhse
tere dil me bhi milne ki fariyaad hogi