Wednesday, March 30, 2011

Naqaab


Deewangi me pehchan na saka shaksh ki asliyat Nilabh
Naqaab me chupe chehre ka asli chehra dekha hai aaj

Gumraah


wo lafzon se gumraah karne ka duad tha
jab wo sath nibhane ka waada karte the

Mohtaaz


Rone ko aanshuon ka mohtaaz na hota Nilabh
jo samandar si inaayat aankhon ko bakhsi hoti khuda ne

Raaz


Unki bewafai ka har raaz sine me dafan kar gaya Nilabh
Jikr hota toh ilzaamo se apna pyaar bhi daagdar hota

Umadte Shailaab


Mere saare sapne aankhon ke samandar se aaj door ja rahe hai
pucha toh kah gaye nhi reh sakte in umadte shailaabon ke sath

Meri Duniya


Jinda rah ke bhi ab kahan rahega Nilabh
Meri duniya ne aaj khud kah diya bhul jana mujhe

Monday, March 21, 2011

Silwate


Jisne jindagi rangeen banayi thi wo gayi aaj saare rang leke
Chaadar ki sari silwate le gayi kafan ki saadgi deke

Taala


Aankhon pe taala laga ke rakhna Nilabh
Aanshuon ki jagah ab le li khoon ne

Thursday, March 17, 2011

Baarish


Maut ke baad na tarsenge aap kabhi baarish ki boond ko
Jab bhi jee chahe mere aanshuon ko awaaz laga dena

Diary


Dard bayaain karne ko do panno ka mohtaaz hai Nilabh
Meri diary ne bhi kasam de dali apne aanshuon ki aaj

Tuesday, March 15, 2011

khwab


Aaj khwabon se nafrat ho gayi hai hume
Inhi khwabon ne kabhi khwaishon ko behkaya tha

Sunday, March 13, 2011

Dhadkan


Yaadon ke baadalon ke bich chupa hai ek chehra
Humari dhadkano pe hai unka hi pehra
Wo hai ki yaadon se jate nhi
Hum apni dhadkano ko rok pate nhi

Julf


Yun julfon ki ghani chhaaun me gumrah na karo
Hum toh pehle se bhatke hai tere pyaar me

Sunday, March 6, 2011

Benaqab


Aaj meri basti ki amavas door ho gayi
Wo nikle benaqab logo ki sikayat door ho gayi

Saturday, March 5, 2011

Sitam


Teri sitam ki aadat ab bhi nhi gayi sanam
Muskura kar chali jati ho kisi aur ka hath thame

Vaada


Kabhi pyar nibha hi nhi saka Nilabh
bhulne ka aakhiri vaada ab bhi yaadon me hai