Kuch Ankahe Alfaaz
Sunday, February 27, 2011
Parda
Kabhi jo hume dekhne ko parda hatate the
Aaj wahi hume dekh palko ka parda karte hai
Thursday, February 24, 2011
Muskurahat
Teri muskurahaton ka ab abhi dewana hota Nilabh
Agar in labon se wafaa ka jhoot na kaha hota
Mitti ka dil
Dil toh mitti ka hota hai Nilabh
Rota bhi aise ki boondein khud me sookh leta hai
Aanshu
Ab roye bhi toh roye kaise Nilabh
Ankhon me basa chehra mere aanshuon ka pehredaar hai
Monday, February 21, 2011
Tere baahon me
Bade arso ke baad tere baahon me lipta tha Nilabh
Khwab tuta toh dekha takiye me fir aaj sihlan thi
Sunday, February 20, 2011
Naadan
Us naadan pe koi ilzaam na lagana
Khata meri jo dil samhaalna na sikha sake
Khafa
Khafa hota bhi toh kisse Nilabh
Gairon ki basti me wajah puchega kuan
Tuesday, February 8, 2011
gunaah
Logon ne aankhon me kuch boond dekhe hai
Kisi ne dil ka samandar nhi dekha
Mere khoon toh kayion behte dekhe hai
Kisi ne uski gunaahon manjar nhi dekha
Saturday, February 5, 2011
dharkan
Sine se teri tasveer lagaye ek umeed me baitha hai Nilabh
mere labz na sahi in dharkano pe yakeen hoga tujhe
rang
Tune rango ki aisi aadat dila di
Aaj kafan bhi odha khoon se saja ke
pyaar bina
Aaj teri izzat bhi mitti me mil gayi Nilabh
Wo hi kehte the pyaar bina hume puchega kuan
sabse pehle aayenge
Kah ke gaye the jarurat ke waqt hum sabse pehle aayenge Nilabh
aur hum khule kabr me tatfeen ki pehli mitti ke intezaar me hai
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)