Tuesday, December 20, 2011

Sikayat


Tujhe bhulne ka tareeka bhi nahi aata

Har kisi se uski sikayat aaj bhi karte ho

Gair-Mezhabi


Zara chilman se parde hata ke baitho o sanam


Main gair-mezhabi hoon, moorat ki ibaadat aadat hai meri 

Pagal


Har shaks hume pagal kehta tha pehle

Jisne tujhe dekha wo mere sath ho gya

Tahreer


Chalo dard ki daastan aaj fir se likhe Nilabh

Aanshu sukh gaye hai toh tahreer khoon se sahi

Qaim

Koi bhi rishta jindagi bhar qaim nahi hota

Badal jana toh hadis jamane ka dastoor hai

Masoomiyat


Ek baar zara si der ko mere dil ke jazbaat toh sun lo

Libaas-e-mohhabbat na sahi sayad posheeda masoomiyat pe yakeen aaye

Didar-e-Ishq



Didar-e-Ishq ko tasveer ki jaroorat nahi

Jab bhi "Dil" kare "Dil" me jhaank leta hon

Gujra Waqt

Jara sa jaam se jaam takra lete har shaam 



Wo waqt gujar gaya jab nasha labon se hota tha

Sikayat




Ek arse se tujhe mehsoos nahi kiya hai

Jara labon se labon ki sikayat cheen ke dikhao

Sunday, October 2, 2011

Udaasi


Udaasi ka shabab na puchiye
Dil ke sagar aankhon tak aa jayenge

Gunehgaar


Kuch bedard hi gunegaar nhi hai yahan pe
Gunehgaar wo bhi hai jo chhup ho rha hai
Koi dusron ka chheen ke khush ho rha hai 
Koi namardo ki tarah chheen jane pe ro rha hai

Friday, September 9, 2011

Meri rooh


Wo mujhe dard bhi nhi de sakta hai Nilabh
Bhala kisi ki rooh use hi tadpayegi kaise

Chaand ka gurur


Kabhi raaton ko chhat pe tum nikalna na benaqaab
Nahi toh chaand tut ke gir jayega apne gurur ke sath

Dua


Dua laakh karte hai par sabse juda karte hai
Har duaon me unki hasraton ki baat karte hai

Adhure


Hum tanha akele bhi hai toh gham nhi
Fikar hai ki humse juda hone wale kahin adhure toh nhi

Sunday, September 4, 2011

Wafa


Aaj luat ke aayi hai wo tere galiyon me tere bhulne ke baad aur tumne use wapas kyun luata diya??
Nilabh
Hum khud ki ek tarafa mohabbat se wafa na kar paye toh kaise unse wafa wada karte

Aaina


Wo puch rhi thi raaz-e-dil batao
Wo kaun hai uski tasveer dikhao
Fir gusse me chali gayi wo naadan
Jab kaha "apni sakal aaine me dekh ke aao"

Waqt


Ye waqt kaisa waqt hai jis waqt me har waqt ke humsafar se
Mujhe unke waqt se kuch waqt maangna pad rha hai

Saturday, September 3, 2011

Sheesha


Us naadan ne mera dil toda ye soch ke
Ki sheeshe ka tutna khusiyon ke paigaam layega

Pathar


Zamane ki raftaar me log kitni jaldi aage nikal gaye
Jo tut jate the hamari choti nandani se wo dil ab pathar me badal gaye

Monday, May 23, 2011

Jindagi muat


Tere haaton mar bhi gaye toh gham na hoga
fakr se keh toh sakenge ki jindagi ne muat de di

Begam


Wo bachpan hi acha tha apna Nilabh
khel me hi sahi par wo begam toh banti thi

Baadam


Wo hume bhul gaye toh kasoor bhi apna tha Nilabh
Bachpan me unse roz baadam toh humne hi chheene the

Ret


Unki yaadein bhi ret ke jaisi hai Nilabh
Aanshu ke sang gili ho jati fir sath ni chodti

Kahawat


Kahawaton pe yakeen na rha Nilabh
Itni ulfatein bhi sahi aur hume wo khas na mile

Kimati ishq


Koi aashiqi ki do sabaq hume bhi sikha de
suna hai is naayab ilm ki kimat bahut hai

Pathar Dil


Tera dil toh pathar ka hai Nilabh
Tasvir ek baar ukeri thi wo mitaye na miti

Jhoote Khwab


Tere khwaab bhi kitne jhoote hai Nilabh
Bewafa se pyaar bhari mulakat aaj bhi hoti hai

Sharabi Aankhein


Pine ki aadat kabhi bhi na chhuti Nilabh
bas jaam ki jagah nighaon ne le li

Jhuki Nazar


Wo jamane ke samne wo nazar jhuka ke chalti yaaron
Wo aanshu chipati hai ya meri tasveer bas ye pata na chala

Aftaab


Jindagi me bas ab shaam sa alaam hai Nilabh
Jabse aftaab unki palkon ka gulaam hua hai

Monday, April 25, 2011

Bhav


Bachpan jahan bitaya wo apna gaun hi acha tha
shararat se na jane aamon ke sath kitne dil churaye the

Jawan umeedon ke sath seher na aana tha hume

yahan toh dil ka sauda hota hai aamon ke bhav me

Jindagi


Ruth kar jab bhi jaoge tum tumhe manane aayega Nilabh
Tune hi kaha tha "Jindagi" kitne bhi dard de muat se behtar hai wo

Mohtaaz


Aasmaan ke baadal bhi tere aankhon jaise hai Nilabh
Koi muasam ka mohtaaz hai koi yaadon ka mohtaaz

Khilona


Dil se acha toh bachpan ke khilone the Nilabh
Tute hue ko kabadiwala tabdeel toh karta tha

Jung-e-Ishq


Jo chaha toh jeet leta teri mohhabat Nilabh
Jung-e-ishq me khuda ne jo muat ki chaal na chali hoti

Sadak


Teri haalat bhi sadak si ho gayi Nilabh
Log kuchal jate hai apni manzil pane ke liye

Bewafa


Teri bewafai dekhi toh hum bhi bewafa ban baithe
Tune idhar hath jo choda hum muat ko dil de baithe

Sharab aur Shabab


Tere shabab ke aage aaj fiki par gayi meri sharab
Honton se lagaya bhi nhi aur beshudh ho gaye

Saath


Saath ki jarurat toh muat ke baad hoti hai Nilabh
Tadfeen ki mitti me har haath ki iyaanat hoti hai

Dualat


Ab teri dualat ke lutne ka waqt aa gya hai Nilabh
Suna hai unke jikr pe jurmane ka naya kaanoon aaya hai

Namaaz


Koi hal toh bata do namaaz ki waqt badalne ka
ek hi toh muaka milta hai unhe us waqt chhat pe dekhne ka

Fariyaad


Yun tanha kab tak teri yaad hogi
aa jane tujhse kab baat hogi
yun jab tak tu ruthegi mujhse
tere dil me bhi milne ki fariyaad hogi

Wednesday, March 30, 2011

Naqaab


Deewangi me pehchan na saka shaksh ki asliyat Nilabh
Naqaab me chupe chehre ka asli chehra dekha hai aaj

Gumraah


wo lafzon se gumraah karne ka duad tha
jab wo sath nibhane ka waada karte the

Mohtaaz


Rone ko aanshuon ka mohtaaz na hota Nilabh
jo samandar si inaayat aankhon ko bakhsi hoti khuda ne

Raaz


Unki bewafai ka har raaz sine me dafan kar gaya Nilabh
Jikr hota toh ilzaamo se apna pyaar bhi daagdar hota

Umadte Shailaab


Mere saare sapne aankhon ke samandar se aaj door ja rahe hai
pucha toh kah gaye nhi reh sakte in umadte shailaabon ke sath

Meri Duniya


Jinda rah ke bhi ab kahan rahega Nilabh
Meri duniya ne aaj khud kah diya bhul jana mujhe

Monday, March 21, 2011

Silwate


Jisne jindagi rangeen banayi thi wo gayi aaj saare rang leke
Chaadar ki sari silwate le gayi kafan ki saadgi deke